By the time I post this, most of us would probably be done with our old and newly found techniques of celebrating Father's day..Sms, facebook and twitter-thanks to you 3 giants, that someone like me who has never been so keen, got to know a lot more than the week days and HOLIDAYs..which too are almost alike these days..:)
Now lets swiftly switch over to the motive behind this post..first the "NO TITLE"..only because I could not find a word..or may be I didn't want my title to look different from the title that any proud kid would like to give his/her Father..and now I beg your pardon for another switch-over..on the language front..
Aaj baaton ko angreziyat ki chaashni me lapet kar likhne ka dil nahin hai..Hindustaani dil zoron se dhadak raha to kyun naa iski kaifiyat usi zubaan me bayaan ho jisme isne khayaalon ki shakl li..bade shayar to hum thehre nahiin..ki shabdon se khilwaad khoon me bas chuka ho..haan jazbaati hain..isliye purzor koshish ki hai k jahaan tak ho sake ye lafz is dil ki baat baaki dilon tak pahoncha saken..Koshish! ek saadhaaran bete ki taraf se apne asaadhaaran Pita..aur apne se jude har us insaan k asaadhaaran Pita/Abba/Father ka Shukriyaa adaa karne ki..jo is zindagi ko is pal tak pahochane me bhaagidaar rahe..

Zara muskurao..Khuda ka Shukra manaao..
K aaj tumhare sar pe.. armaanon ki jo chhat hai,
Gar sochte ho tumko ye kismat ne dii..to gaflat hai..
Jo tumko subah choom k nikalte hain roz ghar se..
Dost mere! Ye chhat unhi hazrat ki mehnat hai..
Jo khwaab aaj tumne apne haseen kal ke hain bune..
Wo unke hi paseene ki siyaahi me likhe khat hain..
Tumhare picchadte hue kadmon ko jab waqt kam lagaa,
To do kadam aur chal paane ki wo thodi si mohlat hain..
K jab jab kisi baat pe thi haar tumne maani,
Wo fir tumhare jhuke kandhon ke uthne ki himmat hain..
Budhape ki laathi tumhe wo maante to hain..
Par tum zameen pe na aao..khud unki sabse badi hasrat hai..
Duniya ki tab-o-taab me unhe bhool na jaana,
Ye aaj k beton ki badii aam si fitrat hai..
Ghamgeen jo hote hain islye ki Wo ab saath naa rahe..
Unhe itna kahunga bas ki bhai “ye khayaal to Galat hai”..
Haan aankhen kholne par wo Roobaru na hon,
Par saansen na dikhna bhi to Khuda ki hi Qudrat hai...